For all songs in this series, go here
For all qawwalis, go here.
Note: Qawwali is a form of Sufi devotional music aimed at inducing mystical ecstasy and spiritual union with the Divine. Originating in the 13th-century Indian subcontinent, this passionate, rhythmic music features poetic lyrics in Urdu, Punjabi, and Persian, traditionally performed by a group of male musicians—a qawwal—at Sufi shrines.
This song is from the 1972 Indian Hindi-language film Dushmun (= Enemy). This film was made in Indian Tamil-language as Needhi (1972), in Indian Telugu-language as Khaidi Babai (1974), in Indian Malayalam-language as Maattoly (1978) and in Indian Kannada-language as Hosa Theerpu (1983).
Music was composed by Laxmikanth Pyarelal to the Lyrics penned by Anand Bakshi. This qawwali was sung by Kishore Kumar.
Lyrics transliterated:
Are Haan; Sachchaai Chhup Nahin Sakti Banaawat Ke Asoolon Se
Ke Khushboo Aa Nahin Sakti Kabhi Kaagaz Ke Phoolon Se
Main Intzaar Karoon; Yeh Dil Nisaar Karon
Main Tujhse Pyaar Karoon; Oh Magar Kaise Aitbaar Karoon
Jhoothaa Hai Teraa Waadaa
Waadaa Teraa Vaadaa; Waadaa Teraa Vaadaa
Waadaa Teraa Waadaa; Waadaa Teraa Waadaa
Vaade Pe Tere Maaraa Gayaa; Bandaa Main Seedhaa Saadhaa
Vaadaa Teraa Vaadaa; Vaadaa Teraa Vaadaa
Vaadaa Teraa Vaadaa; Vaadaa Teraa Vaadaa
Tumhaari Zulf Hai Yaa Sadak Kaa Mod Hai Ye
Tumhaari Aankh Hai Yaa Nashe Kaa Tod Hai Ye
Kahaa Kab Kyaa Kisi Se; Tumhen Kuchh Yaad Nahin
Hamaare Saamane Hai Hamaare Baad Nahin
Kitaab-E-Husn Mein To; Wafaa Kaa Naam Nahin; Arey
Mohabbat Tum Karogi; Tumhaaraa Kaam Nahin
Mohabbat Tum Karogi; Tumhaaraa Kaam Nahin
Agarche Khuub Ho Tum; Meri Mahbuub Ho Tum
Agarche Khuub Ho Tum; Meri Mahbuub Ho Tum
Nigaah-E-Gair Se Bhi; Magar Mansoob Ho Tum
Kisi Shaayar Se Poochho; Ghazal Ho Yaa Rubaai
Bhari Hai Shaayari Mein; Tumhaari Bewafaai
Ho; Daaman Mein Tere Phool Hain Kam; Aur Kaanten Hain Zyaadaa
Waadaa Teraa Vaadaa; Vaadaa Teraa Vaadaa
Vaade Pe Tere Maaraa Gayaa; Bandaa Main Seedhaa Saadhaa
Vaadaa Teraa Vaadaa; Vaadaa Teraa Vaadaa
Taraane Jaanti Hai; Fasaane Jaanti Hai
Kai Dil Todneke; Bahaane Jaanti Hai
Kahin Pe Soz Hai Tu; Kahin Pe Saaz Hai Tu
Jise Samjhaa Naa Koi; Wahi Ek Raaz Hai Tu
Kabhi Tu Rooth Baiti; Kabhi Tu Muskaraai, Arey
Kisi Se Ki Mohabbat; Kisi Se Bewafaai
Kisi Se Ki Mohabbat; Kisi Se Bewafaai
Udaaeye Hosh Taubaa; Teri Aankhen Sharaabi
Udaaeye Hosh Taubaa; Teri Aankhen Sharaabi
Zamaane Mein Hui Hai; Inhin Se Har Kharaabi
Bulaae Chhaanv Koi; Pukaare Dhoop Koi
Teraa Ho Rang Koi; Teraa Ho Roop Koi
Ho; Kuchh Farq Nahin Naam Teraa; Raziyaa Ho Yaa Raadhaa
Waadaa Teraa Waadaa; Waadaa Teraa Waadaa
Waade Pe Tere Maaraa Gayaa; Bandaa Main Seedhaa Saadhaa
Waadaa Teraa Waadaa; Waadaa Teraa Waadaa